na chaaragar na masiha na rahbar tha main nazar mein phir bhi zamane ki mo'atabar tha main ana pe harf na aa jae haq-paraston ki uthae apne hi neze pe apna sar tha main sawal ye nahin kis ne kiya tha qatl mujhe sawal ye hai ki kyun khud se be-khabar tha main jo subh-e-nau ka asiri mein de raha tha payam wo inqilab-e-zamana ka nama-bar tha main sukun-e-dil bhi mila aablon ki lazzat bhi tumhaare sath safar mein jo ham-safar tha main hue the past hawaon ke hausle 'arif' jab apne khole fazaon mein baal-o-par tha main