dil ke mausam ko kisi taur suhana kar de zindagi karne ka koi to bahana kar de hum ko ye shahr-e-hawas kat raha hai kab se hum faqiron ka kahin aur thikana kar de mangne chal to diye us se dil apna wapas wo magar phir na koi taza bahana kar de ahd-e-nau ras kab aaya hamein bhi yarab is nae waqt ko pahle sa purana kar de jo fasanon ko haqiqat mein badal deta hai ye bhi mumkin hai haqiqat ko fasana kar de fikr ko meri wo tasir ata kar yarab mere sheron ko jo maqbul-e-zamana kar de zindagi apni to guzri hai hawadis mein 'nigar' mere bachchon ke muqaddar ko suhana kar de