ye qarz to mera hai chukaega koi aur dukh mujh ko hai aur nir bahaega koi aur kya phir yunhi di jaegi ujrat pe gawahi kya teri saza ab ke bhi paega koi aur anjam ko pahunchunga main anjam se pahle khud meri kahani bhi sunaega koi aur tab hogi khabar kitni hai raftar-e-taghayyur jab sham dhale laut ke aaega koi aur ummid-e-sahar bhi to wirasat mein hai shamil shayad ki diya ab ke jalaega koi aur kab bar-e-tabassum mere honton se uthega ye bojh bhi lagta hai uthaega koi aur is bar hun dushman ki rasai se bahut dur is bar magar zakhm lagaega koi aur shamil pas-e-parda bhi hain is khel mein kuchh log bolega koi hont hilaega koi aur