muskura kar khitab karte ho aadaten kyun kharab karte ho mar do mujh ko rahm-dil ho kar kya ye kar-e-sawab karte ho muflisi aur kis ko kahte hain! daulaton ka hisab karte ho sirf ek iltija hai chhoti si kya use baryab karte ho hum to tum ko pasand kar baithe tum kise intikhab karte ho khar ki nok ko lahu de kar intizar-e-gulab karte ho ye nai ehtiyat dekhi hai aaine se hijab karte ho kya zarurat hai bahs karne ki kyun kaleja kabab karte ho ho chuka jo hisab hona tha aur ab kya hisab karte ho ek din ai 'adam' na pi to kya roz shaghl-e-sharab karte ho kitne be-rahm ho 'adam' tum bhi zikr-e-ahd-e-shabab karte ho ho kisi ki khushi gar is mein 'adam' jurm ka irtikab karte ho