dil ke sab dagh khile hain gul-e-khandan ho kar rang laya hai ye ghuncha chamanistan ho kar daman-e-tar hai ki daftar hai ye ruswai ka meri aankhon ne duboya mujhe giryan ho kar nind aai jo kabhi zulf ke diwane ko chaunk utha khwab-e-pareshan se pareshan ho kar nigah-e-shauq to dar-parda khabar leti hai aap jaenge kahan aankh se pinhan ho kar jalwa-gar aaina-khane mein hua kaun hasin naqsh-e-diwar hain sab aaine hairan ho kar dil mein aae hain to ab dil se nikalte hi nahin ghar pe qabza kiye baithe hain wo mehman ho kar shuhra-e-husn abhi kya hai shabab aane do nam chamkega tumhaara mah-e-taban ho kar qatl ke baad wafa meri jo yaad aai hai sar jhukae hue baithe hain pasheman ho kar mast aankhon pe bikhar jati hai jab zulf 'jalil' main samajhta hun ghata chhai hai mai-khanon par