tamam jism hi ghayal tha ghaw aisa tha koi na jaan saka rakh-rakhao kaisa tha bas ek kahani hui ye padaw aisa tha meri chita ka bhi manzar alaw aisa tha wo hum ko dekhta rahta tha hum taraste the hamari chhat se wahan tak dikhaw aisa tha kuchh aisi sansen bhi lena padin jo bojhal thin hawa ka chaaron taraf se dabaw aisa tha kharidte to kharidar khud bhi bik jate tape hue khare sone ka bhaw aisa tha hain daere mein qadam ye na ho saka mahsus rah-e-hayat mein yaro ghumao aisa tha koi thahar na saka maut ke samundar tak hayat aisi nadi thi bahaw aisa tha bas us ki mang mein sindur bhar ke laut aae hamare agle janam ka chunaw aisa tha phir is ke baad jhuke to jhuke khuda ki taraf tumhaari samt hamara jhukaw aisa tha wo jis ka khun tha wo bhi shanakht kar na saka hatheliyon pe lahu ka rachaw aisa tha zaban se kuchh na kahunga ghazal ye hazir hai dimagh mein kai din se tanaw aisa tha fareb de hi gaya 'nur' us nazar ka khulus fareb kha hi gaya main subhaw aisa tha