dil ke sunsan jaziron ki khabar laega dard pahlu se juda ho ke kahan jaega kaun hota hai kisi ka shab-e-tanhai mein gham-e-furqat hi gham-e-ishq ko bahalaega chand ke pahlu mein dam sadh ke roti hai kiran aaj taron ka fusun khak nazar aaega rag mein aag dabi hai gham-e-mahrumi ki rakh hokar bhi ye shola hamein sulgaega waqt khamosh hai ruthe hue yaron ki tarah kaun lau dete hue zakhmon ko sahlaega zindagi chal ki zara maut ke dam-kham dekhen warna ye jazba lahad tak hamein le jaega