dil ke tin aatish-e-hijran se bachaya na gaya ghar jala samne par hum se bujhaya na gaya dil mein rah-e-dil mein ki meamar-e-qaza se ab tak aisa matbu-e-makan koi banaya na gaya kabhu aashiq ka tere jabhe se nakhun ka kharash khat-e-taqdir ke manind mitaya na gaya kya tunuk-hausla the dida-o-dil apne aah ek dam raaz-e-mohabbat ka chhupaya na gaya dil jo didar ka qatil ke bahut bhuka tha us sitam-kushta se ek zakhm bhi khaya na gaya main to tha said-e-zabun said-gah-e-ishq ke beach aap ko khak mein bhi khub milaya na gaya shahr-e-dil-e-ah ajab jae thi par us ke gae aisa ujda ki kisi tarah basaya na gaya aaj rukti nahin khame ki zaban rakhiye muaf harf ka tul bhi jo mujh se ghataya na gaya