shikwon pe sitam aahon pe jafa sau bar hui sau bar hua har baat mujhe har kaam mujhe dushwar hui dushwar hua saqi ki nashili aaankhon se sari duniya sara aalam badmast hui badmast hua sarshaar hui sarshaar hua hai nam dil-e-muztar jis ka kahte hain jise sab jaan-e-hazin marne ke liye mitne ke liye tayyar hui tayyar hua izhaar-e-mohabbat bhi hai ghazab izhaar-e-mohabbat kaun kare hujjat un se jhagda mujh se har bar hui har bar hua duniya mein bahaar ab aa pahunchi mai-khane ka dar bhi khul jae ek ek gali ek ek makan gulzar hui gulzar hua kyun rahm wo zalim karne laga kyun maut yahan tak aane lagi ulfat se meri surat se meri bezar hui bezar hua hasrat apni arman apna aazar apna taklif apni hamdard bani hamdard bana gham-khwar hui gham-khwar hua milne se tanaffur tha jis ko aaghosh mein ab wo sota hai taqdir meri iqbaal mera bedar hui bedar hua maqtal mein jafaen dhane par maqtal mein jafaen sahne par qatil ki nazar bismil ka jigar tayyar hui tayyar hua ai 'nuh' ye kya sujhi tum ko tufan uthaya kyun tum ne sari duniya sara aalam bezar hui bezar hua