us ka jalwa jo koi dekhne wala hota wada-e-did qayamat pe na tala hota baam par the wo khade lutf do-baala hota mujh ko bhi dil ne uchhal kar jo uchhaala hota kaise khush-rang hain zakhm-e-jigar o dagh-e-jigar hum dikhate jo koi dekhne wala hota dil na sambhla tha agar dekh ke jalwa us ka tu ne ai dard-e-jigar uth ke sambhaala hota tum jo parde mein sanwarte ho natija kya hai lutf jab tha ki koi dekhne wala hota tum ne arman hamara na nikala na sahi apne khanjar ka to arman nikala hota dil ke hathon na mila chain kisi roz 'jalil' aise dushman ko na aaghosh mein pala hota