khayal-e-pursish-e-farda se ghabrana nahin aata gunah karta hun lekin mujh ko pachhtana nahin aata yaqin-e-dawa-e-ulfat nahin mana nahin aata magar ye bhi to hai jhuton ko jhutlana nahin aata tabiat hai ghayur aisi ki tishna-kaam rahta hun lagi-lipti kisi ki sun ke pi jaana nahin aata meri nakaamiyan dil ka chaman shadab rakhti hain ye wo kaliyan hain jin ko khil ke murjhana nahin aata kisi ke wada-e-baatil se taskin ho nahin sakti khilaune de ke mujh ko dil ka bahlana nahin aata wafa ki dastan duniya mein 'kaifi' kab nahin chhidti zaban-e-khalq par kab mera afsana nahin aata