dil ke zakhmon ki lawen aur ubhaaro logo aaj ki raat kisi tarah guzaro logo ruth kar zindagi kya jaane kidhar jaane lagi is tarah daudo zara us ko pukaro logo kitni saj-dhaj hai nigar-e-gham-o-alam ki aaj is ki shokhi ko zara aur nikhaaro logo sarkhushi ab bhi tamashai hai maikhane mein is sitamgar ko to shishe mein utaro logo shahr-e-dil mein ye ghata-top andhera kyun hai phir kisi chand si surat ko pukaro logo sham-e-ehsas bujha kar hain sar-e-arsh-e-barin is bulandi se hamein tum na utaro logo lo 'shoeb' aa hi gaya qafila-e-dard ke sath jaan-o-dil tum bhi kahin aaj na haaro logo