har aks khud ek aaina hai har saya zaban se bolta hai ehsas ki talkhiyon mein dhal kar dil dard ka chand ban gaya hai sunta ho koi to har kali ke khilne mein shikast ki sada hai yun aati hai teri yaad ab to jaise koi dur ki sada hai goya the to koi bhi nahin tha ab chup hain to shahr dekhta hai aajiz hai ajal bhi us ke aage jo misl-e-saba bikhar gaya hai tu silsila-e-sawal ban kar kyun zehnon ke ban mein gunjta hai qurbat teri kis ko ras aai aaine mein aks kanpta hai jite hain rawayatan 'raza' hum is daur mein zindagi saza hai