rah-e-hayat mein wo bhi maqam aaega yagana kaam na begana kaam aaega surur-e-baada-e-ranj-o-gham-e-hayat kabhi na kaam aaya kisi ke na kaam aaega hamari zindagi-e-mukhtasar ka sarmaya hamare baad zamane ke kaam aaega badal chuki hai faza ab nizam-e-alam ki na kaam dana kisi ke na dam aaega yaqin hai tishna-labon ko ki un ki mahfil mein wo jab bhi aaega baada-ba-jam aaega wo jis ki yaad satati hai raat-din 'farigh' na qabl-e-subh na wo baad-e-sham aaega