jab bhi farzanon ke hamrah chale hain hum log

jab bhi farzanon ke hamrah chale hain hum log
thokaren kha ke har ek bar gire hain hum log

maslahat waqt ki kuchh is mein rahi hai shayad
chalte chalte jo sar-e-rah ruke hain hum log

qafile kitne hi guzre hain idhar se phir bhi
gard ki tarah sar-e-rah saje hain hum log

sirf kuchh der teri bazm mein hansne ke liye
sainkadon bar jale aur bujhe hain hum log

mom ki tarah pighal jate hain aasani se
jaane kis tarz ke sanche mein dhale hain hum log

aaj sannata hai dariya mein har ek samt magar
jaane kya soch ke sahil pe khade hain hum log

mausam-e-aish ho ya ranj ka aalam ho 'kamal'
yani har haal mein khush-haal rahe hain hum log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close