dil ki basti pe kisi dard ka saya bhi nahin aisa virani ka mausam kabhi aaya bhi nahin hum kisi aur hi aalam mein raha karte hain ahl-e-duniya ne jahan aake sataya bhi nahin hum pe is aalam-e-taza mein guzarti kya hai tum ne puchha bhi nahin hum ne bataya bhi nahin kab se hun gharq kisi jhil ki gahrai mein raaz-e-ayyam magar aql ne paya bhi nahin be-zamini ka ye dukh aur zamin bhi apni bebasi aisi ki nukta ye uthaya bhi nahin be-jihat uthte hue thokaren khate ye qadam rahbar mera mujhe rah pe laya bhi nahin us ne hamdardi ke paiman to bahut bandhe the aa padi hai to mera hath bataya bhi nahin dil ki diwaron se lipti hai kisi sham ki yaad jaane wala to kabhi laut ke aaya bhi nahin sard-mehri ki jigar chhalni kiye deti hai us ne yun dekhne mein hath chhudaya bhi nahin us se ummid-e-wafa bandh rakhi hai 'shahid' jis ne ye bar mohabbat ka uthaya bhi nahin