lazim hai soz-e-ishq ka shola ayan na ho jal-bujhiye is tarah se ki mutlaq dhuan na ho zakhm-e-jigar ka wa kisi surat wahan na ho paikan-e-yar is mein jo shakl-e-zaban na ho allah re be-hisi ki jo dariya mein gharq hon talab ki tarah kabhi pani rawan na ho gul khanda-zan hai chahchahe karti hai andalib phaili hui chaman mein kahin zafaran na ho bhago yahan se ye dil-e-nalan ki hai sada bahke ho yaro ye jaras-e-karwan na ho hasti adam se hai meri wahshat ki ek shalang ai zulf-e-yar panw ki tu bediyan na ho lena bajae fatiha turbat pe nam-e-yar marne pe ye khayal hai wo bad-guman na ho naqa chala hai najd mein laila ka be-mahaar majnun ki ban padegi agar sar-ban na ho chaalon se charkh ki ye mera azm hai 'surur' is sarzamin pe jaun jahan aasman na ho