subha se matlab na kuchh zunnar se hain juda hum kafir o din-dar se ishq hai us abru-e-khamdar se katunga ek din gala talwar se dil mera atka hai chashm-e-yar se hai mohabbat mardum-e-bimar se yun ewaz lun ji mein hai aghyar se ghar jala dun aah-e-atish-bar se hain ayan kuchh ishq ke aasar se shoale uthte hain dil-afgar se kyun na dil apna nazar-o-zar ho kuchh nazar aate ho tum bezar se rashk se dil mein na kyun jal jae shama lau nikalti hai tere rukhsar se hijr mein ho kyun na lazzat wasl ki hai maza inkar mein iqrar se kucha-e-kakul mein kho kar naqd-e-dil mol sauda lae hum bazar se jhanke rauzan se jo tujh ko rakhna-gar phod dalun sar ko main diwar se jaan aafat mein padi hai ai tabib maut behtar hijr ke aazar se har qadam par shor-e-mahshar hai bapa piste hain dil aap ki raftar se khizr la kar den agar aab-e-baqa main na badlun sharbat-e-didar se tegh-e-abru ka jo bosa de to de warna zalim qatl kar talwar se khilat-e-uryani aur jagir-e-dasht hum ne paya ishq ki sarkar se sarw ke chehra kamar sina kahan is ko kya tashbih qadd-e-yar se hijr mein jangal se hai gulshan siwa gul bhi mujh ko kam nahin hain khar se ja-e-asaish nahin hai dusri badh ke tere saya-e-diwar se roz tanhai mein rahti hai yahan guftugu pahron khayal-e-yar se zulf-o-ariz chashm-o-abru khal-o-khat dil nahin bachta inhin do-chaar se bosa ab qand-e-mukarrar ho gaya duni lazzat ho gai takrar se shart mein boson ki bhi kiya lutf hai jit mein kam-tar maza hai haar se ek gul-ru par hua dil dagh dagh phul lae aaj hum gulzar se koi mai-kash phir na baitha ek dam main jo uththa khana-e-khummar se bulbulen us rashk-e-gul ke hijr mein nochti hain apne par minqar se 'sehr' bhejenge ghazal ye yar ko shauq hai us ko mere ashaar se