dhadkanen dil ki gine khun mein rawani mange zindagi ishq ki ai dost jawani mange pesh kar dagh agar dil pe koi khaya ho ishq har aashiq-e-sadiq se nishani mange zulf-e-shab-gun tere shane pe khuli nagin hai das le ye jis ko na phir uth ke wo pani mange aadmi ahd-e-jawani mein raha munkir-e-gham ab gham-e-dil ki khabar hai to jawani mange husn har gam pe qaem kare ek taza hijab ishq parde ki ye diwar girani mange din ko soti hai mohabbat ki kashish aankhon mein raat ko chand sitaron ki kahani mange mai-kade mein mere saqi ka naya hukm ye hai sham ko pyas lage subh ko pani mange dilbari pesha hai ye chor bhi apne dil ka aankh har ek haqiqat se churani mange kya nae dost-nawazo ka bharosa hai 'nushur' dosti ye hai ki wo rasm purani mange