gham par hain tana-zan to khushi bhi nibhaiye sarkar meri baada-kashi bhi nibhaiye moti se ashk aap ke qadmon ko the aziz sukhe hue labon ki hansi bhi nibhaiye pahle to mauj-e-gul thi mere har khayal mein ab fikr ki ye shoala-rawi bhi nibhaiye ye kya ki aap sirf parastish karen qubul mabud-e-shahr meri khudi bhi nibhaiye be-shak huzur saqi-e-bazm-e-bahaar hain lekin khud apni tishna-labi bhi nibhaiye han in hasin aaankhon mein raqsan hai zindagi palkon ki ho sake to nami bhi nibhaiye shahzad-gan-e-mumlikat-e-husn ke tufail hum shairon ki kaj-kulahi bhi nibhaiye