dil ki duniya hai musibat se bhari rahti hai phir bhi har shakh tamanna ki hari rahti hai jaane kab aa ke wo darwaze pe dastak de de zindagi maut ki aahat se dari rahti hai khwab mein bhi nahin dekha kabhi chehra us ka dil ke aaine mein sunte hain pari rahti hai main sikandar hun na sufi na qalandar yaro phir bhi raushan meri aashufta-sari rahti hai ek hi pal mein palatti hai lakiron jaisi jaise har sans hatheli pe dhari rahti hai