khayal-o-khwab ki duniya se istifada kiya hunar samajh ke isi kaam ko ziyaada kiya ye tu ne kaun se mansab ki pasdari ki banaya mir mujhe khud ko mirzada kiya kamal ye ki jise rasta mila hi nahin wo kah raha hai safar hum ne pa-piyaada kiya koi batao ki main khud ko rokta kaise jab us ne sath mere chalne ka irada kiya bahut dinon pe tabiat udhar hui mail bahut dinon pe saba ne bhi dil kushada kiya