na to be-karani-e-dil rahi na to madd-o-jazr-e-talab raha tere baad bahr-e-khayal mein na kharosh utha na ghazab raha mere samne se guzar gaya wo ghazal dasht-e-murad ka main khada raha yunhi be-sada mujhe pas-e-had-e-adab raha use jaan-guzaron se kya shaghaf use khaksaron se kya sharaf wo fazilaton ke dayar mein ba-huzur pa-e-nasab raha wahi baiat-e-gham-e-hijr thi wahi kashf-e-hujra-e-wasl tha main murid-e-halqa-e-khwab tha so qarin-e-murshid-e-lab raha teri mamlikat ke nisab par koi tabsira bhi kare to kya wahi raushni ka safir hai jo asir-e-zulmat-e-shab raha