dil ki duniya mein teri yaad ke manzar jage aankh se ashk gire gham ke samundar jage qafila lutne ka afsos nahin dukh ye hai rahzan ja chuke jis waqt to rahbar jage dil ki zulmat ko mitaya hi nahin ja sakta jab talak shahr-e-tamanna mein na mahshar jage hum se diwanon ne sar pesh kiye hain hans ke jab bhi maqtal mein kabhi zulm ke khanjar jage inqalab ek naya barpa jahan mein hoga khwab-e-ghaflat se kabhi jab bhi sukhnawar jage sari tadbiren yahan ho gain 'sair' be-sud hum gila kis se karen gar na muqaddar jage