zindagi se umid-e-rahat kya zinda rahne ki bhi zamanat kya husn mein apne be-misal hai wo kisi tashbih ki zarurat kya hum bhi wada wafa karen tum bhi wajibi baat hai murawwat kya aish-o-aram ki talab kaisi ranj-o-alam ki shikayat kya har musibat ki dastan kahna hai musibat se kam musibat kya din-e-islam se bhi pahle thi man ke qadmon ke niche jannat kya sare haq aashna hain muhr-ba-lab aaj-kal jurm hai sadaqat kya kante boe gae hain dekhte hain gul khilae khuda ki qudrat kya khanqahon se hukmrani kar taj kya takht kya riyasat kya sher kah to liye 'zafar' tu ne hai teri shaeri mein nudrat kya