halqa-e-zulf-e-siyah-fam ilahi tauba ishq ki koshish-e-nakaam ilahi tauba coca-cola se bahak jaen jo wo rind hain hum whiskey-o-tharra ka ek jam ilahi tauba har qadam par use kante hi bichhate dekha kahne ko hai but-e-gulfam ilahi tauba pahle hum bima kara len to mohabbat bhi karen maut aati hai bahar-gam ilahi tauba saqiya hum to nigahon se hi pi jate hain rind-e-paband-e-mai-o-jam ilahi tauba pahle to qadr hua karti thi husn-e-dil ki mo'atabar ab hai magar jam ilahi tauba un ke kirdar se shaitan bhi sharmata hai munh mein jin ke hai hare ram ilahi tauba