jab tak dar-e-aiwan jalaya nahin jata tab tak kisi hakim ko jagaya nahin jata zalim ke sitam se ho agar khalq-e-khuda tang duniya use kya mar giraya nahin jata piran-e-ajam kijiye tadbir abhi aap dil se to mere karb ka saya nahin jata maqdur agar ho to wo pahunchana suhulat jamhur ko ungli pe nachaya nahin jata haalat badal sakte hain karwat kisi lamhe ho jang to ghode ko sadhaya nahin jata 'adil' jo kamaya hua hai dagh-e-mohabbat ye dagh zamane ko dikhaya nahin jata