dil ki masarraten nai jaan ka malal hai naya meri ghazal mein aaj phir ek sawal hai naya ab jo khile hain dil mein phul un ki bahaar hai nai ab jo lagi hai dil mein aag us ka jalal hai naya us ke liye bhi gham-za-e-naz-o-ada ka waqt hai apne liye bhi mausam-e-hijr-o-visal hai naya us mein bhi khud-numai ke rang bahut hain in dinon apne liye bhi arsa-e-khwab-o-khayal hai naya jag utha hai ek chaman meri hudud-e-zat mein us ke qarib hi kahin dasht-e-malal hai naya ruh mein jal uthe hain aaj lazzat-e-qurb ke charagh soz-o-gudaz-e-hijr bhi shamil-e-haal hai naya jhum uthe hain barg-o-bar phul khile hain be-shumar ai meri ruh-e-be-qarar tera to haal hai naya us ne meri nigah ke sare sukhan samajh liye phir bhi meri nigah mein ek sawal hai naya