guman ke liye nahin yaqin ke liye nahin ajib rizq-e-khwab hai zamin ke liye nahin khayal jo qadam-kusha hai tere la-shuur mein ghazal hai magar sabuktagin ke liye nahin hawaen gosh-bar-sada hain kis ke bab mein khamosh nahin diye ki aaya-e-mubin ke liye nahin use chhupao kushtagan ke dil mein raaz ki tarah ye tegh-e-abdar aastin ke liye nahin main ek budhe falsafi ke khwab ka amin hun mere labon ki sakht angbin ke liye nahin kamand ko kaman ko abhi se tah na kijiye ki ye shikar ke liye hain zin ke liye nahin jo tir ud chala hai wo mere liye hai 'shahryar' yasar ke liye nahin yamin ke liye nahin