dil ki shikastagi hai khub dil ki shaguftagi na dekh hanste hue sarishk dekh roti hui hansi na dekh husn ki sarkhushi na dekh ishq ki khastagi na dekh baatin-e-dil pe kar nigah suraten zahiri na dekh pukhta-o-jawedan nahin tere nikhaar ki bahaar dekh meri nigah mein aaine mein abhi na dekh ishq ki azmaton ke sath sajde hain tere panw par zarf to hai mera buland meri fatadgi na dekh aarif-e-husn-e-zat ko kya hai gharaz sifat se chand hai dekhne ki chiz chand ki chandni na dekh jis ka hai tujh ko intizar hoga zarur aashkar aalam-e-be-khudi mein aa aaina-e-khudi na dekh dil ke shikasta saz ke jod raha hun tar main de mujhe fursat-e-nazar dil ki taraf abhi na dekh daulat-e-ulfat-o-wafa mujh ko khuda ne ki ata dil hai mera bhara bhara hath mere tahi na dekh ismat-e-husn be-guman teri nazar mein hai nihan jis se lagaw ho tujhe us ki taraf kabhi na dekh 'mauj' safina-e-hayat bahr-e-wafa mein chhod de josh badha hua na dekh lahr uthi hui na dekh