dil ki taskin ki dawa kya hai doston se bhala chhupa kya hai is zamane ko kya pata kya hai mere kamre ka aaina kiya hai ye lahu to nahin mere mahbub teri rag rag mein daudta kya hai hijr ke din visal ki raaten chahne wale chahta kya hai ishq tanhai shaeri cigarette aur is ke siwa bacha kya hai un ke dar se utha to bhul gaya ghar ko jaane ka rasta kya hai sar ko sajde mein rakh diya jae ishq ka aur tarjuma kya hai wo jo mashhur kar raha hai mujhe mere bare mein jaanta kya hai rasta jab na rok paya sitam phir ye talwon ka aabla kya hai jism do ek ho gae kah kar aashiqi mein tera mera kya hai ruk gae kahte kahte is dil mein us ne jis waqt ye kaha kya hai khair achchha hua ke ai 'hani' wo na samjhe ke majra kya hai