hasin raat ka manzar dikhai deta hai

hasin raat ka manzar dikhai deta hai
har ek charagh sukhanwar dikhai deta hai

ye timtimate hue jugnuon ka ek halqa
kai sitaron se behtar dikhai deta hai

ye kis ke lams ne madhosh kar diya us ko
surur-yafta saghar dikhai deta hai

jahan se zarra barabar bhi kuchh nahin dikhta
wahan se saf tera ghar dikhai deta hai

usi ko der talak dekhne ki hasrat hai
wo ek chehra jo pal bhar dikhai deta hai

hamara ishq hai maqbuliyat ki manzil par
kisi ke hath mein patthar dikhai deta hai

ye kis maqam pe le aaya ulfaton ka junun
shikasta dil bhi subuk-sar dikhai deta hai

ek intizar mein gharqab ho chuka 'hani'
zamane bhar ko shanawar dikhai deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close