yun to mushkil tha tere sath guzara karna par mere bas mein na tha tujh se kinara karna jaan hatheli pe dhare daude chale aaenge bas hamein subh-e-watan ek ishaara karna ek hi shakhs se kai bar mohabbat ki hai is ko kahte hain meri jaan khasara karna yaad ab tak mujhe aata hai shab-e-tanhai wo tera mujh ko su-e-dasht pukara karna ek nazar mujh pe bhi ho arz-o-sama ke malik teri qudrat mein hai patthar ko sitara karna chand kis baat ki hai tujh mein akad bol zara shah-e-taiba zara ungli ka ishaara karna is ta'alluq ko mere panw ki bedi na samajh mujh ko aata hai mere dost kinara karna main ki sahra bhi hun dariya bhi hun jangal bhi hun mujh ko jis nam se marzi hai pukara karna main mukammal tha to dhutkar diya tha tu ne ab adhura hun adhure pe guzara karna apne hathon pe liye baithe ho aankhen 'daem' kis ne bola tha sar-e-tur nazara karna