khirad ke pas khabar ke siwa kuchh aur nahin tera ilaj nazar ke siwa kuchh aur nahin har ek maqam se aage maqam hai tera hayat zauq-e-safar ke siwa kuchh aur nahin giran-baha hai to hifz-e-khudi se hai warna guhar mein aab-e-guhar ke siwa kuchh aur nahin ragon mein gardish-e-khun hai agar to kya hasil hayat soz-e-jigar ke siwa kuchh aur nahin urus-e-lala munasib nahin hai mujh se hijab ki main nasim-e-sahar ke siwa kuchh aur nahin jise kasad samajhte hain tajiran-e-farang wo shai mata-e-hunar ke siwa kuchh aur nahin bada karim hai 'iqbaal'-e-be-nawa lekin ata-e-shola sharar ke siwa kuchh aur nahin