guzar raha tha main jab pa-shikasta taef se jari bhi sare dikhai diye the khaif se ye sher ranj-o-alam ka ajib nuskha hain balaen talte hain hum inhi wazaif se bahut qarine se malfuf hain mizha mein ashk bahalti rahti hain aankhen tere tahaif se hamare dard ki tafsil mein gaya hi nahin wo aashna hua do-chaar hi kawaif se so hum ko naghma-e-duniya bhi kya bhala lagta ki dil laga nahin apna kuchh us tawaif se wo ajnabi tha magar jaan hi gaya 'tariq' mere fasana-e-gham ko mere lataif se