dud-e-atish ki tarah yan se na tal jaunga shama-san mahfil-e-jaanan hi mein jal jaunga dur se bhi use dekhun to ye chitwan mein kahe aa ke dide abhi talwon tale mal jaunga dil-e-muztar ye kahe hai wahin le chal warna tod chhati ke kiwadon ko nikal jaunga main hun khurshid-e-sar-e-koh yaqin hai ki wo mah aaega baam pe tab jab ki main dhal jaunga aaj bhi koi na le jaega wan mujh ko to bas kal nahin hai mujhe main ji hi se kal jaunga wan se uthta hun to kahta hai ye pa-e-raftar jab zamin par tu rakhega main phisal jaunga ba-khuda husn-e-butan ka yahi sab se hai kalam wo chhalawa hun ki tum sab ko main chhal jaunga aa ke barson mein wo mujh pas ye shab kahne lage yan thaharne mein bahut se hain khalal jaunga tegha qatil ka kahe hai ki duwali bandu muth ki tarah se tum sab pe main chal jaunga go mizaj is ka ye badla ki kahe hai mujhe yun dekho tum aae to main ghar se nikal jaunga par raha jaega kab hai meri haalat taghir yun na jaunga to main bhes badal jaunga 'jurat' ashaar-e-junun-khez kah ab aur ki main le ke ye turbat-e-sauda pe ghazal jaunga