dil ko darun-e-khana hi bahlao ghar raho tum ko qasam hai bhid mein mat jao ghar raho zinda rahe to yar bahut mahfilen bahut filhaal mere anjuman-arao! ghar raho mana ki id milna bhi dastur hai magar sinon se lag ke maut na phailao ghar raho chaukhat na par karna ki bahar hai qatl-e-am galiyon mein chal rahi hai ajal daw ghar raho mahbub ko bhi le ke maroge tum apne sath gar ishq hai to ishq na jatlao ghar raho dariya-e-khun hai qariya-o-bazar mein rawan tah kar ke rakh do yaro abhi naw ghar raho ek mufti-e-sakhi ka hai fatwa ki thik hai ghar rah ke chahe mai hi piye jao ghar raho faris! hamein bhi shauq-e-mulaqat hai magar pure karenge baad mein sab chaw ghar raho