nigahon mein sada gile badan ka zaiqa rakhna qayamat-khez barish mein na darwaza khula rakhna thakan wajib hai utni tutte lamhon ke sae mein bulandi par bahut mushkil hai apna martaba rakhna hawa-e-dasht-e-shorida shajar ko barahna kar de tu in bikhre hue patton pe apna naqsh-e-pa rakhna wo mausam jab darakhton ko nai poshak mil jae hamare waste aansu koi khoya hua rakhna hawa ki shah pe 'raunaq' kali badliyan bhagin nahusat hai khuli chhat par bhi ab sukha ghada rakhna