dil muztarib hai aur nazar be-qarar hai

dil muztarib hai aur nazar be-qarar hai
ai aane wale aa ki tera intizar hai

aisa na ho ki mai-kada lut jae saqiya
betab tishnagi se har ek mai-gusar hai

ehsan uth sakega kisi aur ka to kya
teri nigah-e-lutf bhi ab dil pe bar hai

bichhda jo us se phir wo faza mein bikhar gaya
shayad zamana dosh-e-hawa par sawar hai

hum se nazar mila ke kaho sahab-e-chaman
kis ke lahu se ghuncha-o-gul par nikhaar hai

donon jahan simat ke mere dil mein rah gae
shayad tumhaara gham hi gham-e-rozgar hai

nazzara-e-bahaar se taskin ho kya use
jis ki nazar mein tera rukh-e-pur-bahaar hai

phir khanda-zan ho tujh ko mohabbat ka wasta
teri hansi se mere junun ka waqar hai

wo garm-taz arsa-e-hasti hun ai 'bahaar'
aalam mere safar hi ka gard-o-ghubar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close