dil ko gham se hazar na ho jae

dil ko gham se hazar na ho jae
zindagi dard-e-sar na ho jae

gham mohabbat-asar na ho jae
be-khabar ba-khabar na ho jae

ja hi pahunchen hum us ke kuche mein
aql agar rahbar na ho jae

na-umidi bhi sath chhod na de
dil bhi muflis ka ghar na ho jae

dil ke daghon ko taza karna hai
shab-e-gham ki sahar na ho jae

haal-e-'nashad' kya kahe koi
kahin tum par asar na ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close