dil mein kya kya hawas-e-did badhai na gai ru-ba-ru un ke magar aankh uthai na gai hum raza-shewa hain tawil-e-sitam khud kar len kya hua un se agar baat banai na gai ye bhi aadab-e-mohabbat ne gawara na kiya un ki taswir bhi aankhon se lagai na gai aah wo aankh jo har samt rahi saiqa-pash wo jo mujh se kisi unwan milai na gai hum se puchha na gaya nam-o-nishan bhi un ka justuju ki koi tamhid uthai na gai dil ko tha hausla-e-arz-e-tamanna so unhen sarguzisht-e-shab-e-hijran bhi sunai na gai gham-e-duri ne kashakash to bahut ki lekin yaad un ki dil-e-'hasrat' se bhulai na gai