dil ko kya ho gaya khuda jaane kyun hai aisa udas kya jaane apne gham mein bhi us ko sarfa hai na khila jaane wo na kha jaane is tajahul ka kya thikana hai jaan kar jo na muddaa jaane kah diya main ne raaz-e-dil apna us ko tum jaano ya khuda jaane kya gharaz kyun idhar tawajjoh ho haal-e-dil aap ki bala jaane jaante jaante hi jaanega mujh mein kya hai abhi wo kya jaane kya hum us bad-guman se baat karen jo sataish ko bhi gila jaane tum na paoge sada-dil mujh sa jo taghaful ko bhi haya jaane hai abas jurm-e-ishq par ilzam jab khata-war bhi khata jaane nahin kotah daman-e-ummid aage ab dast-e-na-rasa jaane jo ho achchha hazar achchhon ka waiz us but ko tu bura jaane ki meri qadr misl-e-shah-e-dakan kisi nawwab ne na raja ne us se utthegi kya musibat-e-ishq ibtida ko jo intiha jaane 'dagh' se kah do ab na ghabrao kaam apna bata hua jaane