dil ko mita ke dagh-e-tamanna diya mujhe ai ishq teri khair ho ye kya diya mujhe mahshar mein baat bhi na zaban se nikal saki kya jhuk ke us nigah ne samjha diya mujhe main aur aarzu-e-visal-e-pari-rukhan is ishq-e-sada-lauh ne bahka diya mujhe har bar yas hijr mein dil ki hui sharik har martaba umid ne dhoka diya mujhe allah re tegh-e-ishq ki barham-mazahiyan mere hi khun-e-shauq mein nahla diya mujhe khush hun ki husn-e-yar ne khud apne hath se ek dil-fareb dagh-e-tamanna diya mujhe duniya se kho chuka hai mera josh-e-intizar aawaz-e-pa-e-yar ne chaunka diya mujhe dawa kiya tha zabt-e-mohabbat ka ai 'jigar' zalim ne baat baat pe tadpa diya mujhe