tere bimar ki shayad wida-e-jaan hai tan se janaze ki wagarna wan hai tayyari ka kya bais kahin waqt-e-khitab ai yar apne munh se nikla tha laga kahne ki mujh mein aap mein yari ka kya bais mariz apne ko dekha aah khun aaluda kya kya the na tha gar dard dil mein nala-o-zari ka kya bais nahin kuchh zor se leta koi dil do na do 'mamnun' ye majburi ka kya maujib ye na-chaari ka kya bais mere sine mein gar aatish-kada pinhan nahin zalim fughan o aah se har dam sharar-bari ka kya bais tasawwur chashm-e-khuban ka muqarrar tum ko rahta hai wagarna hazrat-e-dil itni bimari ka kya bais hua jab kaam apna kaam dil jab puchhne aae mujhe gham kha chuka ab meri gham-khwari ka kya bais ajab diwangi hai koi bhi yun dil phansata hai bahut dana the tum 'mamnun' giraftari ka kya bais