ek tariqa ye bhi hai jab jina ek na-chaari ho hath bandhe hon sine par dil baiat se inkari ho jashn-e-zafar ek aur safar ki saat ka dibacha hai khema-e-shab mein raqs bhi ho aur kuch ki bhi tayyari ho is se kam par ram-khurdun ka kaun taaqub karta hai ya banu-e-ku-e-awadh ho ya aahu-e-tatari ho daim hai sultani hum shahzadon khak-nihadon ki barq-o-sharar ki masnad ho ya takht-e-baad-e-bahaari ho hum to raat ka matlab samjhen khwab, sitare, chand, charagh aage ka ahwal wo jaane jis ne raat guzari ho