tujhe kuchh yaad hai pahla wo aalam ishq-e-pinhan ka shigaf-e-parda se kya tha ishaara chashm-e-fattan ka suna hai kab ye chhutti hai pakad gosha na daman ka samajh kajal na phaila saya hai teri hi mizhgan ka yahan dam khinchna do dopahar mushkil hai ho jata dhuan ghatta hai jab sine mein apni aah-e-sozan ka na ki ghamza ne jalladi na un aankhon ne saffaki jise kahte hain dil apna wahi qatil hua jaan ka shigaf-e-sina se az-bas-ki dud-e-dil nikalta hai siyah ab ja-ba-ja se rang hai apne gareban ka ye dil hai qatra-e-khun se bhi kam allah ri jurat hua hai tispe ru-kash us khadang andaz mizhgan ka