dil ko taufiq-e-ziyan ho to ghazal hoti hai zahr-e-gham baada-chukan ho to ghazal hoti hai fikr tap tap ke nikharti rahe kundan ki tarah aag sine ki jawan ho to ghazal hoti hai dhimi dhimi si nawa silsila junban-e-abad parda-e-jaan mein nihan ho to ghazal hoti hai dhadkanen surat-e-alfaz bikharti jaen dil maani ki zaban ho to ghazal hoti hai aanch mitti ke khilaunon ki tarah milti jae zehn khwabon se tapan ho to ghazal hoti hai rauzan-e-mah se pichhle pahar ek shokh-laqa jaanib-e-di-nigaran ho to ghazal hoti hai ruh-e-shab apni adaon ki tab-o-tab liye khalwat-ara-e-bayan ho to ghazal hoti hai ek sayyal kasak jada-kusha-e-takhliq fan ki nabzon mein rawan ho to ghazal hoti hai tajarbe dard ki shabnam mein nahaen 'hurmat' gul-fishan shoala-e-jaan ho to ghazal hoti hai