jab apna saya hi dushman hai kya kiya jae yahi to zehn ki uljhan hai kya kiya jae hain jis ke hath mein zarre bhi mah-o-anjum bhi usi ke hath mein daman hai kya kiya jae udas baam pe mausam ne khol din zulfen kisi biyog mein jogan hai kya kiya jae wo sham-e-lutf-o-tarab aur chandni sa badan isi khumar mein nagan hai kya kiya jae wo apni shokh adaon se lutta hai mujhe bahut hasin ye rahzan hai kya kiya jae wafa-parast hai aatish-fishan ka rakhwala sanam-kade mein barahman hai kya kiya jae fareb deta hai 'alam' pe raj karta hai adu ke hath mein har fan hai kya kiya jae