dil ko ujde hue bite hain zamane kitne kilk-e-taqdir ne lute hain khazane kitne bhul jata hun magar sach to yahi hai barson tum se wabasta rahe khwab suhane kitne dil dukhati hi rahi gardish-e-ayyam magar hum bhi masruf rahe khud bhi na jaane kitne ek hum aur ye dushnam-taraazi tauba apne atraf rahe aaina-khane kitne ek nazar dekh liya tha kisi gul ki jaanib nukta-chinon ne tarashe hain fasane kitne gar nahin wasl to phir baada-o-saghar hi sahi dil ne dhunde hain dhadakne ke bahane kitne umr-e-rafta ko jo aawaz kabhi di hum ne khul gae zakhm kai, bab purane kitne ghamza-o-ramz mein 'salman' tafawut rakhte aur aaenge tumhein naz dikhane kitne