hum hijr ki kali raaton mein jab bistar-e-khwab pe jate hain mazi ke tamam masaib ek ek kar ke samne aate hain phir mustaqbil ke bhayanak chehre par jab nazren padti hain is haibatnak tasawwur se hum darte hain ghabraate hain ghairon se wo milte rahte hain khud ja ja kar tanhai mein mera kya hai zikr bhala mere sae se bhi sharmate hain mujh mein aur mere raqibon mein hai farq bas itna thoda sa un ko surat dikhlate hain mujh ko aankhen dikhlate hain shayad is kal se murad hua karti hai qayamat ki duri 'zauqi' se wo apne jab bhi kabhi kal ka wada farmate hain